How to Know Sim Card Owner Full Name & Address in 2 Minutes

SIM Card, Mobile Number Kiske Name Par Hai 1 Minute Me Kaise Jaane? How To Know SIM Card Owner Name And Details Only In 1 Minute In Hindi?

How to Know Sim Card Owner Name in 2 Minutes


Dosto ham sabhi jaanna chahte hai ki jo Mobile Number ham use kar rahe hai wo kiske name par hai yaani ki uska Owner kon hai ? kuki ham sabhi jaante hai ki February 2018 se pahle ham sabhi ko apne Mobile Number ko Aadhaar Card se Link karwana hai. Aadhar Card se link karwane ke liye hame pata hona chahiye ki wah Mobile Number kiske name par hai.

Ab in conditions me ham alag-alag tarike use karne lagte hai jisse ham jaan sake ki wah SIM Card kiske naam par hai. Internet par kai tarike mil jaate hai lekin inme se kai kaam ke nahi hote hai yaha tak ki us company ke Customer Care se bhi hame kuch nahi batay jata hai.

Dosto agar aap wakai jaanna chahte hai ki yah kaise pata karte hai to aap is Post ko last tak padhiye. Is Post me mai ek Genuine tarika batane jaa raha hu jisse aap kisi bhi SIM Card ke Owner ka Name 1 Minutes se bhi kam time me pata kar sakte hai.

SIM Card Kiske Name Par Hai 1 Minutes Me Kaise Jaane, Pata kare ?

Yah jaanna bahut hi aasaan hai iske liye aap niche bataye steps ko follow kare-
  • Iske liye aap sabse pahle apne mobile ke Play Store me jaye.
  • Play Store me aap jis bhi company ke SIM Card ke Owner ka pata lagana chahte hai uske Official App ko search kare. Jaise-
  1. Tata Docomo ke liye – My Tata Docomo 
  2. Airtel ke liye – My Airtel
  3. Vodafone ke liye – MyVodafone (India)
  4. Idea ke liye – My Idea etc
  • Ab aap SIM Card ke company ke Official App ko apne mobile me “Install” kar lijiye.
  • Install karne ke baad aap us App ko “OPEN” kare.
  • OPEN karte hi ek page khulega jisme aapko Mobile Number pucha jayega. Yaha aap jis bhi Mobile Number ke Owner ka pata lagana chahte hai uska Number Enter kar de.
  • Number Enter karne ke baad “Get OTP” par click kare.
  • Get OTP par click karte hi us Mobile Number me ek message aayega jisme ek OTP hoga. Is OTP ko “Enter OTP” ke box me enter kar de.
  • OTP enter karne ke baad “Submit” par click kare.
  • Jaise hi aap Submit par click karenge us Mobile Number, SIM Card ka detail khul jayega. Is page me aapko sabse upar hi us SIM Card ke Owner ka Name dikh jayega.
  • Agar aapko yahan Name nahi dikh raha hai to left side ke upar 3 baar dikhega usko click karna hai. Yaha Par aapko jarur SIM Card kiske Name par hai wah dikh jayega.
  • Dono me se kisi na kisi ek jagah par yaane Step 09,10 me aapko wah SIM Card kiske Naam par hai uska Naam jarur dikh jayega. Yah ek official tarika hai aur puri tarah Secure hai.
You can also check out: https://top18.in

Dhyan Dene Wali Baate :-

  • Aapko usi Comapany ka App Install karna hai jis Company ka wah SIM Card hai jiske baare me aap jaanna chahte hai.
  • Wah SIM Card us samay aapke paas hona chahiye jab aap us App ko 1st baar Open kar rahe hai taki aapko OTP mil sake.
  • Dekha aapne kitni aasaani se aap kisi bhi SIM Card ke baare me pata kar sakte hai ki wah SIM Card kisie Name par hai. Mujhe ummid hai ki ab aapko is Process me kisi tarah ke dikkat nahi hogi.

Post a Comment

Previous Post Next Post