Bina OTP Ke Aadhaar Card Download Kaise Kare
Bina mobile number, ya galat phone number ke Aadhar Card download karna bahut easy hai. UIDAI se Aadhar online download kar sakte hai. Start ke years me Aadhar Card ko online download karne ka koi feature nahi tha. Card ke liye 90 days tak wait karna parta tha tab ja kar Address par POST se Aadhar card milta tha.
UIDAI ne online system launch kiya hai jisme aadhar status check, Aadhar download kar sakte hai. Yadi apke mobile number par SMS confirmation recieved ho raha hai toh Online aadhar Download kar sakte hai.
Bina mobile number ke Aadhar Download karne ke liye kya jaruri hai:
- Full Name.
- Enrollment Id
- Mobile Number (Koi Sa Bhi)
- PINCODE
Yadi aapka Enrollment slip nahi mil raha hai to Email Id par jakar check kare. Phir aadhar download kare. Agar aapne Email registered nahi kiya hai to nazdiki Enrollment centre par jakar apni problem bataye.
Bina Mobile Number Ke Aadhar Download Kaise Kare
- UIDAI ke Official website par jaye.
- mobile number ke bina aadhar kaise download kare
- I Have option ke niche Enrollment ID (EID) option par click kare.
- Full Name enter kare
- Email ya Phone number enter kare.
- Security Code enter kare, Phir Get OTP button par click kare.
- Jis Email or Phone number ko enter kiya gaya hai uspar OTP code gaya hoga
- OTP code ko box me enter karke verify kare.
- Phir Validate par click karke Download kare.
- PDF file download ho jayega.
- File download hone ke baad open kare, phir password me Area PINCODE enter kare.
Khoye Huye EID or UID Ko Email Se Kaise Dhunde
- Khoye huye EID or UID ko dhundne ke liye yaha jaye: http://resident.uidai.net.in/find-uid-eid
- Jo chiz dhundna hai uska option select kare “Aadhar No (UID)” or “Enroment No (EID)”.
- Register name enter kare.
- Phir register Email Id enter kare.
- Security code enter kare phir Get OTP par click kare.
- khoye huye EId dhunde
Register email address par OTP code jayega.
Jo OTP code Email par hai usko enter type karke Verify OTP par click kare.
Phir Email aadress par Enrollment number send kar diya jayega.
Khoye huye EID ke milne ke baad aap bina mobile number ke Aadhar Download kar sakte hai.
Jab bhi apka AAdhar mil jayega to correction karke mobile number register jarur karwaye. Kyunki baad me iski bahut jarurat hoti hai. Iske liye aap Enrollment centre par contact kar sakte hai.