How To Delete Your Whatsapp Group?? (Full Guide)

Whatsapp account delete kaise kare ? Jane sahi tarika (Hindi me)

Whatsapp account delete kaise kare: Mene apne pichle kuch articles me whatsapp se related bohot se posts likhe hai. Inmese kuch hai, mobile me do whatsapp kaise chalaye, computer me whatsapp ko install kaise kare aur apna whatsapp group kaise banaye etc. So, aaj is post par bhi me whatsapp se related ek bohot jaruri article likhne wala hun. Ye article hai, apna whatsapp account delete kaise kare iske upar. Yane, agar aapko apne whatsapp ID ko delete karna hai, to iska tarika me yaha bataunga.

How to delete WhatsApp account permanently…!

Whatsapp account ko delete karne ka tarika to wese bohot simple hai. But, agar aapko sahi tarika pata nahi hai to ye aapke liye sardard ban sakta hai. Aur, yaha aap ye bhi jaan le k, whatsapp application ko mobile se uninstall karne bhar se whatsapp account delete nahi ho jata hai. Aapko, whatsapp uninstall karne se pehle account deletion ka process step by step pura karna hoga.

Jyadatar logo ko jabbhi apne whatsapp account ko delete karna hota hai, wo simply apne phone se whatsapp ko uninstall kar dete hai. Isse, wo sochte hai k, “mera whatsapp id delete ho gaya hai”. But, ye bilkul nahi hota. Isse hoga ye k, logo ko aapke mobile number par whatsapp profile dikhta rahenga. Wo, aapko sms, images jese chize send bhi kar payenge. Aur, jabbhi aap whatsapp ko dobara mobile me install karoge aapako sare messages mil jayenge. Yane, isse aapka whatsapp id permanently delete nahi hota hai.

So, apne whatsapp account ko puri tarah se delete karne k liye aapko niche diye steps pure karne honge. Isse, aapka whatsapp ID aapke registered mobile number se delete ho jayega. Aur, kisi ko bhi aapke mobile number par whatsapp profile nahi dikhega.

Wese, agar aapka mobile chori ho gaya hai ya kho gaya hai, tab bina mobile ke whatsapp ko delete karne ka process alag hai. Aap tension na le, agar esa hai to iska tarika bhi me niche bataunga.

Apna account permanently delete karne se pehle aap humesha whatsapp chat backup function ka istemal kar le. Chat backup ki madat se aap apne whatsapp ke sare chat records, images & files ka ek backup file apne mobile memory, google drive, e-mail etc me save kar sakte hai. Isse, kabhi agar aap wapas whatsapp ko apne mobile me install karte hai, to aapko apne purane chat history & images restore karne ka moka milta hai.

Whatsapp par chat ko backup karne ke liye , WhatsApp > Menu Button > Settings > Chats > Chat backup > Back Up. par jaye. Agar aap detail me chat backup karne ka tarika janna chahte hai to ye post padhe – whatsapp chats ko backup & restore kaise kare ? jane.

Chaliye, ab hum chats ko backup karne k baad mobile number se whatsapp account ko permenently delete karne ka tarika jaan le.

Steps to delete whatsapp account permanently

Karan jo bhi ho, exams aa rahe hai ya whatsapp par log aapko disturb karte hai, agar aapko apne whatsapp ko delete karna hai to iska tarika bohot simple hai. But, agar aapka mobile jaha whatsapp account registered hai aapke paas he tabhi.

But, agar aapka phone chori ho gaya hai ya kho gaya hai tab aap apne whatsapp id ko apne mobile se directly remove nahi kar sakte. Iske liye aapko kuch dusre tarike ka istemal karna hoga. Kher, iske bareme me aapko niche jarur bataunga.

Chaliye, niche me aapko apne mobile se directly account delete karne ke steps bata dun.

Step .1

Sabse pehle aapko apne mobile par whatsapp ko open karna hoga. Open karne k baad aapko upar right side se “3 dot line” wale option par click karna hoga. Iske baad, aapko kuch options dikhenge. Dikhrahe options mese “Settings” par click kare.

Settings ke tab par click karne k baad, aapko sare profile se related settings dikhenge.

Step 2

Ab, settings page par upar aapko “Account” ka ek option dikhega. Account par click karne k baad aapko “Delete my account” ka option dikhega. Aapko simply delete my account par click karna hai.

First step >> account

Go to account

Second step >> account >> delete my account

Delete my account option

Step 3.

Ab, Delete my account par click karne k baad aapko account delete karne ka page dikhega. Iss page par upar aapko kuch notice dikhenge. Waha, likha hoga k whatsapp account delete karne par kya hoga.

Ab, notice ke niche mobile number confirm karne ko kaha jayega. Yane, aapka whatsapp jis mobile number se registered hai aapko niche usi mobile number ko number box par daalna hoga.

Enter whatsapp number

Verify your whatsapp registered mobile number >>

Verification ke liye number dale

Ab, upar dikh rahe number verification box par apna number dalne k baad niche “Delete My Account” par click kare.

Step 4.

Ab, delete par click karne k baad next aapko “Feedback page” dikhega. Yane, is page par aapko ek reason chunna hai jiske liye aap whatsapp ko delete karna chahte hai. But, ye optional hai. Agar aap chahe to bina feedback diye bhi continue kar sakte hai.

Apna feedback (deletion ka reason) chunne k baad niche “Delete my account” link par click kare.

Step 5.

Ab, next aapko final account deletion confirmation page dikhega. Yaha, aapko bataya jayega k, ek bar account delete hone k baad wapas whatsapp delete process ko reverse nahi kar sakte. So, agar aap future me kabhi bhi wapas whatsapp account activate karte hai tab aapko aapka purana data wapas nahi milne wala. 

Now, simply page k niche se firse “Delete my account” link ko click kare. Ab, finally aapka whatsapp account permanently mobile se delete ho jayega. 

So, jesa k aapko upar image par dikh raha hoga, aapka whatsaspp id delete ho jayega aur aapko wapas se whatsapp registration page dikhega. Ab, agar chahe to aap whatsapp ko wapas kisi dusre number se ya purane number se bhi register kar sakte hai. But, aapko aapke purane chat history nahi milenge.

Chaliye ab hum niche bina mobile ke whatsapp delete kaise kare iska tarika jaan le.

Bina mobile ke whatsapp ko delete kare 

Jesa k mene aapko upar kaha tha, agar aapka mobile kho gaya hai ya chori ho gaya hai, tab aap upar diye tarike se whatsapp id ko mobile se remove nahi kar sakte. Aur, phone chori karne wale ko aapke mobile ka password pata hai, to wo aapke whatsapp account ka galat istemal kar sakta hai. So, aapko is situation me jald se jald apna profile chori huwe mobile se delete karwala chahiye.

But, iske liye do alag tarike hai. Ek tarika hai whatsapp ka official tarika aur dusra hai apne mobile number block karwane ka. Chaliye, dono tariko ko hum niche detailed me jaan le.

Block you SIM card

Agar aapka phone chori ho gaya hai ya kho gaya hai, tab aap apne mobile ka istemal nahi kar payenge. Aur, tab aapke pass whatsapp account ko deactivate karne ka sabse fast aur simple tarika hota hai SIM card block karna. Aapko apne network provider ko phone kar kehna hoga k aapka phone chori ho gaya hai so aapka SIM card wo block kar de. 

Isse, aapka mobile number block ho jayega. Aur, aapke whatsapp account ko verify karne k liye sms ya call ki jarurat hogi jo sim block hone k baad possible nahi hoga. So, agar aapka mobile kho gaya hai to is tarike se aap apne  account ko khoye huwe mobile se deactivate karwa sakte hai.

Ab, jab aap apne block kiye huwe mobile number ko wapas network company se le ayenge tab aap usi number se kisi dusre mobile par whatsapp ko register kar le. Isse, aapke naye phone par hi whatsapp account chalega. Kyuki, same mobile number se hum ek se jyada mobile par whatsapp chala nahi sakte. So, aapke chori huwe mobile se whatsapp automatically deactivate ho jayega aur aapke new phone par activate ho jayega.

Ab, agar aap chahe to whatsapp ko recover kar lene k baad upar diye whatsapp deletion steps ko pura kar apna account delete kar sakte hai.

Post a Comment

Previous Post Next Post